dard apna tha to is dard ko ḳhud sahna tha
na kisi aur se dukh apna kabhi kahna tha
ghalati ki ki muravvat men musibat jheli
zulm bardasht hi karna tha na chup rahna tha
ashk ban kar jo na bahta to ragon men bahta
kisi surat se lahu tha to use bahna tha
shub.h hota tha ki hai rang-e-badan ya malbus
be-libasi thi libas us ne kahan pahna tha
main jo mar ja.un to sab log kahenge ‘azar’
itni bosida imarat thi ise Dhahna tha
Leave a Reply