vajud ka inhisar go khaak par nahin tha
magar main apni zamin se be-khabar nahin tha
ajab tarah ka tilism tha is mafariqat men
badan larazta tha aur ankhon men dar nahin tha
lahu se main ne diye ki lau sarfaraz rakkhi
vahan jahan par havaon ka bhi guzar nahin tha
magar bahut der baad ja kar khabar hui thi
vo mere hamrah tha mira ham-safar nahin tha
so main ne akhir larazta patta hadaf banaya
ki vo parinda to aaj bhi shakh par nahin tha
Leave a Reply