nibah karte hue sham-e-be-qarar ke saath
hamari umr kaTi ranj-e-be-shumar ke saath
ye intizar bhi ik kaam tha jo karna tha
magar kuchh aur bhi karna tha intizar ke saath
bayan-e-husn ko husn-e-bayan zaruri hai
kalam-e-fan bhi hai lazim jamal-e-yar ke saath
so manzilon ke ta.ayyun se bhi gurezan huun
main dasht men huun kisi sar-phire ghubar ke saath
shumar-e-aib nahin hai ye be-niyazi-e-husn
ye nashsha hai ki jo hota hai eqtidar ke saath
Leave a Reply