• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Waiz Milegi Khuld Mein Kab Is Qadar Sharab

Waiz Milegi Khuld Mein Kab Is Qadar Sharab

poet

vaaiz milegi khuld men kab is qadar sharab

paani ke badle piite hain ai be-khabar sharab

aamad men us ki mast hue kuchh khabar nahin

saaqi hai kaun jaam kahan aur kidhar sharab

us qulzum-e-gunah men duuba hua huun main

jis men hai ek mauja-e-daman-e-tar sharab

masti men un ko lag gai lau aur ghair ki

deni shab-e-visal na thi is qadar sharab

iqrar-e-vasl aur vo mast-e-ghurur-e-naz

aaya hai pi ke tu kahin ai nama-bar sharab

main ek baar aankh chura kar jo pi gaya

laaya na zakhm dhone ko phir charagar sharab

karna tha mujh ko hiila shikast-e-khumar ka

deni thi khuub qabl-e-tulu-e-sahar sharab

rukhsat ka hosh un ko na rahta shab-e-visal

kuchh bolte to ye ki dhari hai kidhar sharab

‘salik’ mile jo bazm men us ki to lutf hai

varna piya hi karte hain ham apne ghar sharab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

syeda-nafis-bano-shama

Nigah O dil Mein Wahi Karbala Ka Manzar Tha

Meri Aankhon Ke Samundar Mein Jalan Kaisi Hai

Koi Basti Nai Hum Tum Kahin Aabaad Karte Hain

aftab-iqbal-shamim

Tamiz-e-Pisar-e-Zamin Wa Ibn-e-Falak Na Karna

shakeel-badayuni

Hangama-E-Gham Se Tang Aa Kar Izhaar-E-Masarrat Kar Baithe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet