• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wahima Hoga Yahan Koi Na Aaya Hoga

Wahima Hoga Yahan Koi Na Aaya Hoga

vahima hoga yahan koi na aaya hoga

mere saaya hi mire jism se lipTa hoga

chand ki tarf nigahon men liye ḳhvab-e-tarab

aur ik umr abhi ḳhaak pe sona hoga

ashk aa.e hain to ye sair-e-charaghan bhi sahi

is se aage to vahi ḳhuun ka dariya hoga

gar kabhi TuuTi badalti hui rut ki zanjir

ek ik phuul yahan ḳhud ko tarasta hoga

ham to vabasta rahe tujh se ki hai ḳhu-e-vafa

tu ne kya soch ke ai gham hamen chaha hoga

shauq-e-ta.amir basa.ega ḳharabe kya kya

aadmi hai to har ik shahar men sahra hoga

saa.e mahke hue goshon men simaT ja.enge

chand niklega to ye shahr akela hoga

yaad a.engi bahut niind se bojhal palken

shaam ke saath ye dukh aur ghanera hoga

us ko ankhon men chhupaoge batao kab tak

kya karoge jo vahi dekhne vaala hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Dastak Aur Ye Dar Mera Nahin Hai

Ghar Mein Rahte Hue Dar Lagta Hai

Phul Kitaben Le Ja Tanha Rahne De

Teri Ulfat Wasul Ho Jaise

Raushni Ka Sath Mahnga paD Gaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet