• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wahi the Jo Apni Justuju Mein Khare Nahin The

Wahi the Jo Apni Justuju Mein Khare Nahin The

vahi the jo apni justuju men khare nahin the

vagarna ham un ki dastaras se pare nahin the

tabhi vo samjhe ki ham khilaune nahin hain jab ham

vahan se un ko mile jahan par dhare nahin the

daraḳht phir se hara phalon se bhara hua hai

magar vo patte bahar men jo hare nahin the

us ek lamhe ka rang umron pe chha gaya hai

vo ek lamha ki rang jis men bhare nahin the

ajab sa ik ḳhvab dekh kar aankh khul ga.i hai

ham apne marne pe ro.e lekin mare nahin the

ḳhud apne hone ke ḳhauf men ab jo mubtala hain

ḳhuda ke hone se bhi vo pahle Dare nahin the

ye kaisi kaaya palaT hai shah maat de rahe hain

vo jin se shatranj ke piyade mare nahin the

hamen zamane ne kimiya-gar bana diya hai

janam se ham log yuun nahin the are nahin the

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHizr-E-Manzil Na Tha Ibn-E-Mariyam Na Tha

MULLA JAMI

Guftamash Ai Khizr-e-Masiha-Nafas

Shoalon Mein Gham-E-Zat Ki Jhulsaya Hua Sa

Ghalat-Bayani Pe Uski Yaqin Dikhati Rahi

poet

Kijiye Rindi Ka Pesha Shisha Shisha Hai Sharab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet