• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wahi Dagh-E-Lala Ki Baat Hai Ki Ba-Nam-E-Husn Udhar Gai

Wahi Dagh-E-Lala Ki Baat Hai Ki Ba-Nam-E-Husn Udhar Gai

vahi dagh-e-lala ki baat hai ki ba-nam-e-husn udhar ga.i

koi kya kahe ki kahan kahan tire ḳhal-e-ruḳh ki ḳhabar ga.i

koi haath dashna-e-jan-sitan koi haath marham-e-parniyan

ye to haath haath ki baat hai koi vaqt pa ke sanvar ga.i

vahi ek suud o ziyan ka gham jo mizaj-e-ishq se duur tha

vo tiri zaban pe bhi aa gaya to lagan hi ji ki bikhar ga.i

kisi ek silsila-e-vafa ki mata.a zulf-e-dota nahin

koi pech-o-tab-e-hava mile ki vo zulf ta-ba-kamar ga.i

ye shikayat-e-dar-o-bam kya ye rabat-e-kohna ki raat kya

koi be-charagh shab-e-vafa tire shahr men bhi guzar ga.i

isi zindagi ke hazar ufuq isi zindagi ke hazar ruḳh

isi ik ḳhayal ki rau thi vo jo tiri jabin pe bikhar ga.i

vo hazar shauq ki laghzishen magar ek lazzat-e-narasi

miri ashna-e-tarab nazar tire ruḳh pe aa ke Thahar ga.i

kabhi atish-e-ḳhas-o-ḳhar se bhi gulon ko zauq-e-numu mila

kabhi shaḳh-e-gul se lahak uThi vo sinan jo ta-ba-jigar ga.i

vo zaban-e-sarmad-e-be-dalil vo ḳharash-e-ḳhanjar-e-hukmaran

koi imtihan-e-dalil kya ki dilon men baat utar ga.i

vo gharib-e-shahr kahe bhi kya jo tiri zaban se hai be-ḳhabar

magar ek rah-e-suḳhan bhi hai ki ye zindagi hai jidhar ga.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhilesh-tiwari

Gutthi Na Sulajh Pai Go Suljhai Bahut Hai

Pahle to Chaak zaKHm-E-Jigar Dekhte Rahe

poet

Dharti Ko Gagan Nahin Karoge

Hayat Raqs Mein Hai Kaenat Raqs Mein Hai

ahmad-nadeem-qasmi

Balaghat Ka Alamiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet