Tasir-E-Barq-E-Husn Jo Un Ke suKHan Mein Thi

tāsīr-e-barq-e-husn jo un ke suḳhan meñ thī

ik larzish-e-ḳhafī mire saare badan meñ thī

vaañ se nikal ke phir na farāġhat huī nasīb

āsūdgī kī jaan tirī anjuman meñ thī

ik rañg-e-iltifāt bhī us be-ruḳhī meñ thā

ik sādgī bhī us nigah-e-sahar fan meñ thī

mohtāj-e-bū-e-itr na thā jism-e-ḳhūb-e-yār

ḳhushbu-e-dilbarī thī jo us pairahan meñ thī

kuchh dil hī bujh gayā hai mirā varna aaj kal

kaifiyat-e-bahār kī shiddat chaman meñ thī

mālūm ho ga.ī mire dil ko rāh-e-shauq

vo baat pyaar kī jo hunūz us dahan meñ thī

ġhurbat kī sub.h meñ bhī nahīñ hai vo raushnī

jo raushnī ki shām-e-savād-e-vatan meñ thī

aish gudāz-e-dil bhī ġham-e-āshiqī meñ thā

ik rāhat-e-latīf bhī zimn-e-mehan meñ thī

achchhā huā ki ḳhātir-e-‘hasrat’ se haT ga.ī

haibat sī ik jo ḳhatra-e-dār-o-rasan meñ thī

Leave a Comment