vahi arman jaise ji jo mushkil se nikalte hain
ba-shakl-e-ashk-o-fariyad-o-fughan dil se nikalte hain
kisi men hausla hota hai tufanon se laḌne ka
safine yuun to sab daman-e-sahil se nikalte hain
hamare ham-safar ham se mukaddar hain bas itne par
ki ham bach kar ghubar-e-rah-e-manzil se nikalte hain
ghazab hai ai zamin to un hasinon ko nigal jaa.e
jo husn-e-zau-fishan men mah-e-kamil se nikalte hain
bharosa kuchh nahin ‘mahrum’ anvar-masarrat ka
sharare bhi kabhi taron ki mahfil se nikalte hain
Leave a Reply