jab kabhi ḳhvab ki ummid bandha karti hai
niind ankhon men pareshan phira karti hai
yaad rakhna hi mohabbat men nahin hai sab kuchh
bhuul jaana bhi baḌi baat hua karti hai
dekh be-chargi-e-ku-e-mohabbat koi dam
saa.e ke vaste divar dua karti hai
surat-e-dil baḌe shahron men rah-e-yak-tarfa
jaane valon ko bahut yaad kiya karti hai
do ujalon ko milati hui ik rah-guzar
be-charagi ke baḌe ranj saha karti hai
Leave a Reply