• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gulab Hath Mein Ho Aankh Mein Sitara Ho

Gulab Hath Mein Ho Aankh Mein Sitara Ho

parveen-shakir

gulab haath men ho aankh men sitara ho

koi vajud mohabbat ka istiara ho

main gahre paani ki is rau ke saath bahti rahun

jazira ho ki muqabil koi kinara ho

kabhi-kabhar use dekh len kahin mil len

ye kab kaha tha ki vo khush-badan hamara ho

qusur ho to hamare hisab men likh jaae

mohabbaton men jo ehsan ho tumhara ho

ye itni raat gae kaun dastaken dega

kahin hava ka hi us ne na ruup dhara ho

ufuq to kya hai dar-e-kahkashan bhi chhu aaen

musafiron ko agar chand ka ishara ho

main apne hisse ke sukh jis ke naam kar dalun

koi to ho jo mujhe is tarah ka pyara ho

agar vajud men ahang hai to vasl bhi hai

vo chahe nazm ka tukda ki nasr-para ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ishrat-afreen

Main Phul Phul Safar Kar Rahi Thi Khwabon Ka

poet

Bahaar-E-Zist Ki Mahrumiyan Are Tauba

Apni Na-Karda-Gunahi Ki Saza Ho Jaise

Humne Phulon Ko Jo Dekha Lab-O-ruKHsar Ke Baad

abroo-shah-mubarak

Kahen Kya Tum Sun Be-dard Logo Kisi Se Ji Ka Maram Na Paya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet