vahi andaz-e-duniya hai abhi tak
gham-e-imroz-o-farda hai abhi tak
ye daur-e-ibtila hai is men insan
ye kya kam hai ki zinda hai abhi tak
ab aage dekhiye kya fikr hogi
yahin tak ham ne socha hai abhi tak
hui muddat mile the lamha-bhar ko
vahi lamha na guzra hai abhi tak
usi ko DhunDhti hai aankh ‘nashtar’
vahi dil ka taqaza hai abhi tak
Leave a Reply