vafa kya kar nahin sakte hain vo lekin nahin karte
kaha kya kar nahin sakte hain vo lekin nahin karte
masiha.i ka da.ava aur bimaron se ye ghaflat
dava kya kar nahin sakte hain vo lekin nahin karte
raqibon par adu par ghair par charḳh-e-sitamgar par
jafa kya kar nahin sakte hain vo lekin nahin karte
kabhi dad-e-mohabbat de ke haq meri vafaon ka
ada kya kar nahin sakte hain vo lekin nahin karte
zakat-e-husn de kar apne kuche ke gadaon ka
bhala kya kar nahin sakte hain vo lekin nahin karte
dil-e-‘muztar’ ko qaid-e-dam-e-gesu-e-pareshan se
riha kya kar nahin sakte hain vo lekin nahin karte
Leave a Reply