hangama garm hasti-e-na-paedar ka
chashmak hai barq ki ki tabassum sharar ka
main jo shahid huun lab-e-khandan-e-yar ka
kya kya charagh hansta hai mere mazar ka
ho raz-e-dil na yaar se poshida yaar ka
parda na darmiyan ho jo dil ke ghubar ka
us ru-e-tabnak pe har qatra-e-araq
goya ki ik sitara hai subh-e-bahar ka
hai ain-e-vasl men bhi miri chashm su-e-dar
lapka jo pad gaya hai mujhe intizar ka
pahunchega tere paas kabutar se pesh-tar
maktub-e-shauq uda ke tire be-qarar ka
ho pak-damanon ko khalish gar se kya khatar
khatka nahin nigah ko mizhgan ke khaar ka
bujhne ki dil ki aag nahin zer-e-khak bhi
hoga darakht gor pe meri chinar ka
dekh apne dar-e-gosh ko aariz se muttasil
dekha na ho sitara jo subh-e-bahar ka
puchhe hai kya halavt-e-talkhaba-e-sarishk
sharbat hai bagh-e-khuld-e-barin ke anaar ka
hai dil ki daao ghaat men mizhgan se chashm-e-yar
hai shauq us ki tatti ki ojhal shikar ka
qasid likhun lifafa-e-khat ko ghubar se
ta jaane vo ye khat hai kisi khaksar ka
ai ‘zauq’ hosh gar hai to duniya se duur bhaag
is mai-kade men kaam nahin hoshiyar ka
Leave a Reply