• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wafa Ki Rah Mein Dushwariyan Bahut Si Hain

Wafa Ki Rah Mein Dushwariyan Bahut Si Hain

vafa ki raah men dushvariyan bahut si hain

magar junun ki bhi tayyariyan bahut si hain

jalal apni mohabbat ka sab se uncha hai

badan men aise to bimariyan bahut si hain

hamare paas faqat dil ka dard hai lekin

tumhare paas to ayyariyan bahut si hain

har ek shaḳhs ki fikren juda juda Thahrin

jahan-e-am men ḳhuddariyan bahut si hain

vafa ki saari misalen gina to duun lekin

vatan men apne bhi ghaddariyan bahut si hain

dilon men palte hue ḳhvab jante hi nahin

tabah karne ko be-kariyan bahut si hain

kisi ne mujh se kaha tha ki yaar sun to sahi

ada men husn ki makkariyan bahut si hain

saji hai bazm-e-mohabbat ye jaan kis ke liye

yahan to logon men bezariyan bahut si hain

‘nadim’ kyuun tu tah-e-iztirab Duub gaya

dilon ke khel men bhi pariyan bahut si hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shad-azimabadi

Main Shad Tanha Ek Taraf Aur duniya Ki duniya Ek Taraf

parveen-shakir

Chaarasazon Ki Aziyyat Nahin dekhi Jati

poet

Kis Munh Se Kahen Gunah Kya Hain

Lahu Aankhon Mein Jamta Ja Raha Hai

Makin Yahin Ka Hai Lekin Makan Se Bahar Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet