jo ho sakta hai us se vo kisi se ho nahin sakta
magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin sakta
mohabbat men kare kya kuchh kisi se ho nahin sakta
mira marna bhi to meri khushi se ho nahin sakta
alag karna raqibon ka ilahi tujh ko asan hai
mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin sakta
kiya hai vada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho
yahan sabr o tahammul aaj hi se ho nahin sakta
ye mushtaq-e-shahadat kis jagah jaaen kise dhunden
ki tera kaam qatil jab tujhi se ho nahin sakta
laga kar tegh qissa paak kijiye dad-khvahon ka
kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin sakta
mira dushman ba-zahir chaar din ko dost hai tera
kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin sakta
pursish kahoge kya vahan jab yaan ye surat hai
ada ik harf-e-vada nazuki se ho nahin sakta
na kahiye go ki hal-e-dil magar rang-ashna hain ham
ye zahir aap ki kya khamushi se ho nahin sakta
kiya jo ham ne zalim kya karega ghair munh kya hai
kare to sabr aisa aadmi se ho nahin sakta
chaman men naaz bulbul ne kiya jo apni naale par
chatak kar ghuncha bola kya kisi se ho nahin sakta
nahin gar tujh pe qaabu dil hai par kuchh zor ho apna
karun kya ye bhi to na-taqati se ho nahin sakta
na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka
pareshani men koi kaam ji se ho nahin sakta
hua huun is qadar mahjub arz-e-muddaa kar ke
ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin sakta
ghazab men jaan hai kya kijiye badla ranj-e-furqat ka
badi se kar nahin sakte khushi se ho nahin sakta
maza jo iztirab-e-shauq se ashiq ko hai hasil
vo taslim o raza o bandagi se ho nahin sakta
khuda jab dost hai ai ‘dagh’ kya dushman se andesha
hamara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin sakta
Leave a Reply