raat gae tak ghael naghme karte hain elaan yahan
ye duniya hai sang-dilon ki koi nahin insan yahan
izzat valon ki zillat ka sab se bada bazar hai ye
chukte hain ghairat ke saude bikte hain iman yahan
bhiik men bhi mango to koi pyaar na daale jholi men
bin mange mil jaate hain rusvai ke saman yahan
zar-daron ko naghmon men jab jism dikhai deta hai
ek mahakti sej pe akasr tutti hai har taan yahan
mamta ke honton par jab chandi ki mohren lagti hain
maan khud apni beti ko kar deti hai qurban yahan
apna khuun hi badh kar apne khuun ki boli deta hai
kis ne kis par haath badhaya koi nahin pahchan yahan
paap ke is mandir men kya kya bhaav batae ram-jani
shaam dhale jab aan birajen sone ke bhagvan yahan
raat gae tak jaage sanvli kaale choron ki khatir
aur agar inkar kare kahlae na-farman yahan
jhilmil karti poshakon se chahe badbu aati ho
khud jal kar mahfil ko khushbu deta hai loban yahan
Leave a Reply