vafa ke hain khvan par nivale ze-aab avval doam ba-atish
bhare hai saaqi yahan pyale ze-ab avval doam ba-atish
chaman men josh-e-junun ke hain ashk aur dagh-e-darun se apne
karun shagufta gul aur laale ze-ab avval doam ba-atish
hamare ashk aur aah ki maujen bandh deti hain sab jo duuri
bane hain mah-e-falak pe haale ze-ab avval doam ba-atish
jahan ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un men kuchh na lazzat
do roz chhati yahan pakale ze-ab avval doam ba-atish
do hukm hain shah-e-ishq ke in men ek galna hai ek jalna
hain daftar-e-dard men qabale ze-ab avval doam ba-atish
na khol vaaiz kitab-e-danish ki atish-e-ishq o ab-e-mai se
dhoun jalaun tire risale ze-ab avval doam ba-atish
sitam hai aafat hai mahr ya kiin bala ye ishq-e-satiza-gar ki
dilon ke khane ujaad daale ze-ab avval doam ba-atish
pade hain ham khun-e-dil men ghaltan jigar hai dagh-e-jafa se sozan
koi hai apne taiin sambhale ze-ab avval doam ba-atish
visal ki justuju men ‘hasrat’ chala na zaari na zor ka kuchh
bahut se yaan ham ne dhab nikale ze-ab avval doam ba-atish
Leave a Reply