Ishq Ki Bargah Tak Pahuncha

ishq kī bārgāh tak pahuñchā

husn jā-e-panāh tak pahuñchā

dil ke hāthoñ vo shoḳh bhī āḳhir

mere hāl-e-tabāh tak pahuñchā

ab to utrā huuñ tark-e-ulfat par

dard fikr-o-nigāh tak pahuñchā

āsiyoñ se hai mujtanib vaa.iz

zohd hadd-e-gunāh tak pahuñchā

tesha-e-koh-kan kā vaar āḳhir

satvat-e-kaj-kulāh tak pahuñchā

jab bhī taḳhrīb-e-dīñ kī baat chalī

silsila ḳhānqāh tak pahuñchā

DhūñD kar hashr meñ karam us kā

mere fard-e-siyāh tak pahuñchā

Leave a Comment