vafa karna sitam sahna nahin hai
mujhe ab aur kuchh kahna nahin hai
bhala main kyon tumhare ḳhvab dekhun
tumhare saath jab rahna nahin hai
miri ankhen haqiqat ashna hain
ḳhayali mauj men bahna nahin hai
shikayat kyon tujhe hai dusron se
sharafat jab tira gahna nahin hai
nahin ho jis men raḳhshan us ki ḳhushbu
kabhi vo pairahan pahna nahin hai
Leave a Reply