vafa ka banda huun ulfat ka pasdar huun main
Harif-e-qamri-o-parvana-e-hazar huun main
juda juda nazar aati hai jalva-e-tasir
qarar ho gaya muusa ko be-qarar huun main
ḳhumar jis se na vaqif ho vo surur hain aap
surur jis se na agah ho vo ḳhumar huun main
sama gaya hai ye sauda ajiib sar men mire
karam ka ahl-e-sitam se ummid-var huun main
evaz dava ke dua de gaya tabib mujhe
kaha jo main ne gham-e-hijr se do-char huun main
shabab kar diya mera tabah ulfat ne
ḳhizan ke haath ki boi hui bahar huun main
qarar-dad-e-gareban hui ye daman se
ki purze purze agar ho to taar taar huun main
mire mazar ko samjha na jaa.e ek mazar
hazar hasrat-o-arman ka ḳhud mazar huun main
‘zahir’ o ‘arshad’ o ‘ghalib’ ka huun jigar-gosha
janab-e-‘dagh’ ka tilmiz o yadgar huun main
amiir karte hain izzat miri huun vo ‘sa.il’
gulon ke pahlu men rahta huun aisa ḳhaar huun main
Leave a Reply