kisi ka naam jo leta huun aah karta huun
tamam raat yahi ik gunah karta huun
nigah-e-barq ka ehsan kab gavara hai
main ḳhud hi apna nasheman tabah karta huun
ye rabt-e-sho.ala-o-shabnam nahin to phir kya hai
main ashk-e-gham ki tabassum ki chaah karta huun
tu mai-kashi se mujhe rokta hai kyon zahid
main imtiyaz-e-safed-o-siyah karta huun
dikha.i deta hai dhundla sa hasraton ka mazar
main ahd-e-rafta pe jab bhi nigah karta huun
tumhare husn ki daulat se bhiik le le kar
dil-e-faqir ko main badshah karta huun
kisi ke lutf ka hamil nahin mazaq ‘hayat’
isi liye main sitam se nibah karta huun
Leave a Reply