vaada us mah-ru ke aane ka
ye nasiba siyah-khane ka
kah rahi hai nigah-e-duz-dida
rukh badalne ko hai zamane ka
zarre zarre men be-hijab hain vo
jin ko daava hai munh chhupane ka
hasil-e-umr hai shabab magar
ik yahi vaqt hai ganvane ka
chandni khamushi aur akhir shab
aa ki hai vaqt dil lagane ka
hai qayamat tire shabab ka rang
rang badlega phir zamane ka
teri ankhon ki ho na ho taqsir
naam rusva sharab-khane ka
rah gae ban ke ham sarapa gham
ye natija hai dil lagane ka
jis ka har lafz hai sarapa gham
main huun unvan us fasane ka
us ki badli hui nazar tauba
yuun badalta hai rukh zamane ka
dekhte hain hamen vo chhup chhup kar
parda rah jaae munh chhupane ka
kar diya khugar-e-sitam ‘akhtar’
ham pe ehsan hai zamane ka
Leave a Reply