aa.ine kahte hain is ḳhvab ko rusva na karo
aise kho.e hue andaz se dekha na karo
kaise aa jaati hai konpal pe ye jaadu ki lakir
din guzar jaate hain mahsus karo ya na karo
kahin divar-e-qayamat kabhi zanjir-e-azal
kya karo ishq-e-ziyan-e-kesh men aur kya na karo
bhagte jaao kisi samt kisi saa.e se
tazkira ek hai afsana-dar-afsana karo
phir koi taaza gharaunda kisi virane men
gaanv ko shahr karo shahr ko virana karo
bazm-e-imkan hui do ghunT lahu ankhon men
hirs kahti hai ki kaunain ko paimana karo
kyuun na ho mujh se shikayat tumhin tum vo ho ki phir
use jiita bhi na chhoḌo jise divana karo
ek hi raat sahi phuul to khulte hain ‘ḳhizan’
maut men kya hai ki jiine ki tamanna na karo
Leave a Reply