Tek laga kar baiTha huun main jis buḌhi divar ke saath
ḳhauf hai mujh ko miT na ja.un us ke har asar ke saath
ghaza powder mal kar main bhi aa jaata huun surḳhi men
bik jaata hai chehra mera saste se aḳhbar ke saath
kyuun na baḌh kar main pi ja.un tere naqli sab tiryak
phir tu dhoka kar na paa.e basti men bimar ke saath
hosh ke naḳhun le to sa.in kyuun ye ghaugha Daala hai
dekh nahin ab lai ye chalti naghma-e-darbar ke saath
kis ne tujh ko saunpi bhaa.i sardari is basti ki
sab ke sab mahshur ye honge apne apne yaar ke saath
umr tamami shauq se ham ne ek hi titli paali thi
jab jab us ko ḳhvab men dekha uḌti hai aghyar ke saath
Leave a Reply