khvab men raat ham ne kya dekha
aankh khulte hi chand sa dekha
kiyariyan dhuul se ati pain
ashiyana jala hua dekha
fakhta sar-nigun babulon men
phuul ko phuul se juda dekha
us ne manzil pe la ke chhod diya
umr bhar jis ka rasta dekha
ham ne moti samajh ke chuum liya
sang-reza jahan pada dekha
kam-numa ham bhi hain magar pyare
koi tujh sa na khud-numa dekha
Leave a Reply