vabasta ho ga.e hain qadam rahguzar ke saath
ham chal paḌe the ek hasin ham-safar ke saath
ik din dhuen ki tarah na bahar nikal de
ham-saya aa basa hai bura mere ghar ke saath
gulchin pe nukta-chin na ho baghban ḳhud
gul shaḳh se utaar rahe hain hunar ke saath
us tez gaam shaḳhs ne manzil ko ja liya
jo har paḌav par na ruka rahbar ke saath
dete rahe hisab khaḌe zahidan-e-ḳhushk
baḳhshish hui hai rind ki daman-e-tar ke saath
peshe ke e’tibar se vo sang-bar hain
jo mudda.i ḳhulus ke hain shishagar ke saath
ik ḳhub-ru se ishq men sauda hua hai tai
dil ko bhi rehn kar diya ‘shaukat’ nazar ke saath
Leave a Reply