• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Utthi Hai Jab Se dil Mein Mere Ishq Ki Tarang

Utthi Hai Jab Se dil Mein Mere Ishq Ki Tarang

poet

utthi hai jab se dil men mire ishq ki tarang

shadi o gham hain aage mire donon ek rang

jab se hua huun bada-e-tauhid se main mast

uthti hai dil se naghma-e-mansur ki umang

dil andarun-e-sina magar ho gaya hai khuun

nikle hain meri aankhon se jo ashk surkh rang

pahunche hai tir-e-ah mira arsh ke pare

jab se laga hai dil men mire ishq ka khadang

nairangiyan tiri hain hui jaise jalva-gar

hosh-o-havas-o-aql-e-rasa jumla hain ye dang

ik baar gar vo dekhe tire rukh ko be-naqab

kaaba-parast hove vahin par but-e-farang

kar nam-o-nang tark dila rah-e-ishq men

ashiq vahi hai jis ko ki hai is se ar-o-nang

mat rakh tu bahr-e-ishq men ai bul-havas qadam

har qatre men yahan hain bala ke do sad nahang

‘asim’ main kya karun shah-e-khadim ki ab sana

hai pa-e-aql arsa-e-midhat men us ke lang

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Haq-Mehr Kitna Hoga Bataya Nahin Gaya

fatima-hasan

Jata Hai Jo Gharon Ko Wo Rasta Badal diya

Ashk-E-Gham Uqda-Kusha-E-KHalish-E-Jaan Nikla

Din Hua Jaise Raushni Hi Nahin

aftab-shamsi

Nurse

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet