mahfil men ghair hi ko na har baar dekhna
meri taraf bhi bhuul ke sarkar dekhna
aghaz-e-sabza se hai jo rukhsar par ghubar
agle baras ise khat-e-gulzar dekhna
jab sarf-e-guftugu huun to dekhe unhen koi
manzur ho jo abr-e-guhar-bar dekhna
main ne kaha ki hijr men kuchh mashghala nahin
bole ki raat din dar-o-divar dekhna
kahta huun jab main un se banav-singhar ko
kahte hain koi aur trahdar dekhna
main jaan bhi daregh karun to gunahgar
mere siva na aur kharidar dekhna
vo mujh se puchhte hain ki kuchh aib to nahin
raftar dekhna miri guftar dekhna
shaikh-e-zaman qadim ravish ke buzurg hain
kitna bada hai gumbad-e-dastar dekhna
vo baar baar dekhte hain aaine men munh
allah un ka ru-e-pur-anvar dekhna
chalte hain ku-e-yar men hai vaqt-e-imtihan
himmat na harna dil-e-bimar dekhna
hoshiyar phunk phunk ke rakhna yahan qadam
‘parvin’ zara zamane ki raftar dekhna
Leave a Reply