utthe haath duaon vaale bhar de maula
mere shahr ka mausam achchha kar de maula
dhyan-sara men jaane kab se bahak rahi hain
in chidiyon ko apne bal-o-par de maula
khvab-nagar se apni faslen katen ye bhi
ahl-e-chaman ko achchhi koi khabar de maula
in galiyon men mayusi lahren leti hai
in galiyon ko ab to nai sahar de maula
thaka hua jab koi musafir laut ke aae
jaisa chhod gaya tha vaisa ghar de maula