uThi Nigah to Apne Hi Ru-Ba-Ru Hum The

uThī nigāh to apne hī rū-ba-rū ham the

zamīn ā.īna-ḳhāna thī chār-sū ham the

dinoñ ke ba.ad achānak tumhārā dhyān aayā

ḳhudā kā shukr ki us vaqt bā-vazū ham the

vo ā.īna to nahīñ thā par ā.īne sā thā

vo ham nahīñ the magar yaar hū-ba-hū ham the

zamīñ pe laḌte hue āsmāñ ke narġhe meñ

kabhī kabhī koī dushman kabhū kabhū ham the

hamārā zikr bhī ab jurm ho gayā hai vahāñ

dinoñ kī baat hai mahfil kī aabrū ham the

ḳhayāl thā ki ye pathrāv rok deñ chal kar

jo hosh aayā to dekhā lahū lahū ham the

Leave a Comment