uTha kar barq-o-baran se nazar manjdhar par rakhna
hamesha ke liye ye haath ab patvar par rakhna
visali mausamon ki bazyabi chahne vaalo
baja.e shaḳh-e-gul dast-e-talab ruḳhsar par rakhna
sar-e-taḳhliq tan kab iḳhtira.i dhun nikal aa.e
zara ye honT tum barbat ke TuuTe taar par rakhna
vabal-e-dosh tha ye tum kisi kone pe likh dena
numa.ish ke liye jab sar sutun-e-dar par rakhna
baqa-e-nau-e-insani ki ḳhatir chahta huun main
ab apne aap ko barud ke ambar par rakhna
vo kirnon se bhari do-pahriyan ab yaad aati hain
fatada barg uThana saaya ik ashjar par rakhna
‘zubair’ aqvam-e-alam men bhi ho tash.hir vahshat ki
garebanon ke ye TukḌe ḳhat-e-asar par rakhna
Leave a Reply