uTh ga.i us ki nazar main jo muqabil se uTha
varna uThne ke liye ghair bhi mahfil se uTha
baiTh kar lutf na tu saya-e-batil se uTha
chal ke aram uThana hai to manzil se uTha
aa ke mahfil men tiri kaun mire dil se uTha
koi uTTha bhi miri tarah to mushkil se uTha
saath aata hai to lahron ke thapeḌe mat gin
mauj se lutf uThana hai to sahil se uTha
haath men jaan uThana to baḌi baat nahin
koi patthar koi kanTa rah-e-manzil se uTha
qurb-e-sahil ke takabbur men jo kashti Duubi
koi chhoTa sa babula bhi na sahil se uTha
be-dili haa.e tamanna ki na duniya hai na diin
jis taraf tujh ko uThana hai qadam dil se uTha
vo jo nau-varid-e-ulfat hain unhen kya ma.alum
kis liye aaj main sang-e-dar-e-qatil se uTha
shaiḳh par haath uThane ke nahin ham qaa.el
haath uThane ki jo Thani hai to batil se uTha
aaj us kufr-e-sarapa ne sanvare gesu
aaj bikhra hua parda ruḳh-e-batil se uTha
‘shad’ ik rahbar-e-makkar se rahzan achchha
koi nuqsan uThana hai to jahil se uTha
Leave a Reply