us ne kaha tha ek shab tum ne mujhe badal diya
kaise kahun main us se ab tum ne mujhe badal diya
jaadu asar har ik ada chehra hai ya ki mo.ajiza
dikhla ke ik hasin chhab tum ne mujhe badal diya
dekho miri shararten shoḳhi bhari ibaraten
chanchal tha is qadar main kab tum ne mujhe badal diya
sargoshiyon ka main hadaf hairaniyan hain har taraf
shashdar hai aa.ina ajab tum ne mujhe badal diya
dil men hai yuun umang kyon nikhra hua hai rang kyon
ab puchhte ho kya sabab tum ne mujhe badal diya
ik harf-e-intizar huun har aan be-qarar huun
‘raghib’ nahin raha main ab tum ne mujhe badal diya
Leave a Reply