shauq us ka ham ne vasl men bedar kar diya
jiina phir ham ne apna hi dushvar kar diya
saaqi ne apni kaifiyat-e-ḳhas mujh ko di
mai se nahin adaon se sarshar kar diya
us ki jhalak bhi pa na sake chhin gaya sukun
dil ḳhuun mera ḳhvahish-e-didar kar diya
farigh kiya jahan ki tamannaon se hamen
us ka karam hai apna talabgar kar diya
ḳhuun aarzu ko karne men lohe lage magar
ye kaam ham ne aap ka sarkar kar diya
main sab samajh gaya jo mujhe yar-e-ghar ne
ungli labon pe rakh ke ḳhabar-dar kar diya
aḳhir miri nigah ko paḌh hi liya ‘suhail’
us ne mire irade ko gulnar kar diya
Leave a Reply