dayar-e-dil men naya naya sa charagh koi jala raha hai
main jis ki dastak ka muntazir tha mujhe vo lamha bula raha hai
phir adh-khula sa koi daricha mire tasavvur pe chha raha hai
ye khoya khoya sa chand jaise tiri kahani suna raha hai
vo raushni ki talab men gum hai main ḳhushbuon ki talash men huun
main da.eron se nikal raha huun vo da.eron men sama raha hai
vo kam-sini ki shafiq yaden gulab ban kar mahak uThi hain
udaas shab ki ḳhamoshiyon men ye kaun lori suna raha hai
suno samundar ki shoḳh lahro hava.en Thahri hain tum bhi Thahro
vo duur sahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai
Leave a Reply