• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mausam-E-Rang Bhi Hai Fasl-E-Khizan Bhi Tari

Mausam-E-Rang Bhi Hai Fasl-E-Khizan Bhi Tari

ali-sardar-jafri

mausam-e-rang bhi hai fasl-e-khizan bhi taari

dekhna khuun ke dhabbe hain ki hai gul-kari

us se har tarah se tazlil-e-bashar hoti hai

bais-e-fakhr nahin muflisi-o-na-dari

inqilabi ho to hai faqr bhi tauqir-e-hayat

varna hai ajizi-o-be-kasi-o-ayyari

shoala-e-gul ki badha deti hai lau-e-bad-e-bahar

tah-e-shabnam bhi dahak uthti hai ik chingari

lamha lamha hai ki hai qafila-e-manzil-e-nur

sarhad-e-shab men bhi farman-e-sahar hai jaari

tegh-o-khanjar ko ata karte hain lafzon ki niyam

zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyari

harf-e-‘sardar’ men poshida hain asrar-e-hayat

sher-e-‘sardar’ men hai sarkashi-o-sar-shari

sher-e-‘sardar’ men hai shoala-e-be-bak ka rang

harf-e-‘sardar’ men haq-goi-o-khush-guftari

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Nau-Khand Aur Je Asman Aahe

Sufi

Agar Faqir Se Milna Hai To Sambhal Pahle

afzal-parvez

Laila Sar-Ba-Gareban Hai Majnun Sa Aashiq-e-Zar Kahan

Tabibon Se Nazar Ki choT Pahchani Nahin Jati

poet

Aaj Kuchh Kahne Ko Thi shoKHi-E-Tadbir Meri

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet