• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jada-E-Shauq Mein Kaam Aae Sikandar Kitne

Jada-E-Shauq Mein Kaam Aae Sikandar Kitne

poet

jada-e-shauq men kaam aa.e sikandar kitne

is samundar men hue gharq shanavar kitne

un ko dekha to na tha naam suna jab un ka

zehn men bante rahe husn ke paikar kitne

mor-e-be-maya magar apni ada par qaa.em

ham se Takrate rahe vaqt ke davar kitne

kitne zarrat ko mahtab ki zau baḳhshi hai

aap ke saath hain vabasta muqaddar kitne

baat mai-ḳhane ke adab se aage na ga.i

ru-ba-ru mere chhalakte rahe saghar kitne

shahr-dar-shahr isi baat ka charcha hai bahut

phuul si baat pe maare ga.e patthar kitne

kahin apnon ki inayat kahin ghairon ka karam

muskurate hain mujhe dekh ke ḳhanjar kitne

ye bhi a.ina-e-ayyam men dekhoge bahut

kha ga.i mauj-e-sitam jaane sitamgar kitne

har qadam luTte rahe itna bata de koi

qafile valon ki qismat men hain rahbar kitne

haa.e vo pursish-e-halat ka andaz ‘qamar’

meri ankhon men simaT aa.e hain manzar kitne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jigar-moradabadi

dil Hasin Hai To Mohabbat Bhi Hasin Paida Kar

ahmad-nadeem-qasmi

dua

Dil Ke Nazdik Se Guzro to Bata Kar Jaana

Sar Par Kisi Gharib Ke Na-Chaar Gir paDe

abu-mohammad-wasil-bahraichi

Jabin-e-Shauq Par Koi Hua Hai Mehrban Shayad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet