main apni zaat men jab se sitara hone laga
phir ik charagh se mera guzara hone laga
miri chamak ke nazare ko chahiye kuchh aur
main aaine pe kahan ashkara hone laga
ye kaisi barf se us ne bhigo diya hai mujhe
pahad jaisa mira jism gaara hone laga
zamin se main ne abhi ediyan uthai thiin
ki asman ka mujh ko nazara hone laga
ajiib sur-e-sarafil us ne phunk diya
pahad apni jagah paara paara hone laga
main ek ishq men nakam kya hua ‘gauhar’
har ek kaam men mujh ko khasara hone laga
Leave a Reply