us ko mujh se rutha diya kis ne
mere dil ko dukha diya kis ne
dam-e-kakul dikha diya kis ne
murgh-e-dil ko phansa diya kis ne
kham-e-abru dikha diya kis ne
kaaba-e-dil gira diya kis ne
ai falak ham to baithe hanste the
uthte uthte rula diya kis ne
aaine men dikha ke teri shakl
tujh ko hairan bana diya kis ne
ik qalam harf-e-dosti bhula
haae us ko padha diya kis ne
main gaya us ke ghar to kahne laga
ghar hamara bata diya kis ne
nahin maalum shauq-e-qatl men kuchh
sar hamara uda diya kis ne
na samae kisi ki ankhon men
nazron se yuun gira diya kis ne
mangte hi gunahgar hue
us se bosa liya diya kis ne
kal talak dost tha vo ‘goya’ ka
aaj dushman bana diya kis ne
Leave a Reply