us ko duniya usi ko diin kiya
ain insaf ke qarin kiya
vo kahega yaqin hai mujh par
main kahungi tira yaqin kiya
dil men ghar kar liya mohabbat ne
aur mujhe is qadar hasin kiya
kund zehnon ko apni barakat se
ishq ne kis qadar zahin kiya
chand ghaḌiyon ke baad milna tha
vaqt ne kya drop scene kiya
sabr ka rakh liya bharam ham ne
aur nam jazb-e-astin kiya
Leave a Reply