• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Usko Bhi Humse Mohabbat Ho Zaruri to Nahin

Usko Bhi Humse Mohabbat Ho Zaruri to Nahin

us ko bhi ham se mohabbat ho zaruri to nahin

ishq hi ishq ki qimat ho zaruri to nahin

ek din aap ki barham-nigahi dekh chuke

roz ik taaza qayamat ho zaruri to nahin

meri sham.on ko havaon ne bujhaya hoga

ye bhi un ki hi shararat ho zaruri to nahin

ahl-e-duniya se marasim bhi baratne honge

har nafas sirf ibadat ho zaruri to nahin

dosti aap se lazim hai magar is ke liye

saari duniya se adavat ho zaruri to nahin

pursish-e-hal ko tum aaoge us vaqt mujhe

lab hilane ki bhi taqat ho zaruri to nahin

saikḌon dar hain zamane men gada.i ke liye

aap hi ka dar-e-daulat ho zaruri to nahin

bahami rabt men ranjish bhi maza deti hai

bas mohabbat hi mohabbat ho zaruri to nahin

zulm ke daur se ikrah-e-dili kaafi hai

ek ḳhun-rez baghavat ho zaruri to nahin

ek misra bhi jo zinda rahe kaafi hai ‘saba’

mere har sher ki shohrat ho zaruri to nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afroz-alam

Zulmat

abdul-ahad-saaz

dur Se Shahr-e-Fikr Suhana Lagta Hai

nazeer-akbarabadi

Chitwan Mein Shararat Hai Aur Sin Bhi Chanchal Hai

wali-mohammad-wali

Agar Gulshan Taraf Wo Nau-Khat-E-Rangin-Ada Nikle

Sheikh Saadi

Story 4 – The Morals Of dervishes – Gulistaan-e-Sa.Adii

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet