aansu to koi aankh men laaya nahin huun main
jaisa magar laga tumhen vaisa nahin huun main
ab mubtala-e-ishq zyada nahin huun main
kahte ho tum yahi to phir achchha nahin huun main
ḳhubi na ho koi magar itna to hai zarur
jhuTi lage jo baat vo kahta nahin huun main
paani pe bante aks ki manind huun magar
ankhon men koi bhar le to miTta nahin huun main
is tarah ḳhud ko mujh pe numayan na kijiye
insan huun huzur farishta nahin huun main
raston ke ḳham va pech men aisa raha huun gharq
ab tak kisi maqam pe Thahra nahin huun main
sauda hai mere sar men to pairon men bhi hai dam
chalta huun ek baar to rukta nahin huun main
maano miri bhi baat ki sab kuchh luTa ke bhi
jiita huun us ke ishq men haara nahin huun main
sun lo ‘hilal’ aaj hi sunna hai jo ghazal
phir mujh se mat ye kahna sunata nahin huun main
Leave a Reply