us ko azadi na milne ka hamen maqdur hai
ham idhar majbur hain aur vo idhar majbur hai
shab ko chhup kar aa.iye aana agar manzur hai
aap ke ghar se hamara ghar hi kitni duur hai
laakh minnat ki magar ik baat bhi munh se na ki
aap ki tasvir bhi kitni baḌi maghrur hai
is andheri raat men ai shaiḳh pahchanega kaun
band hai masjid ka dar to mai-kada kya duur hai
ek rashk-e-ghair ka sadma to uTh sakta nahin
aur jo farma.iye sab kuchh hamen manzur hai
mar gaya dushman to us ka sog tum ko kya zarur
kaun si ye rasm hai ye kaun sa dastur hai
zahid is ummid par milna hasinon se na chhoḌ
ḳhuld men nadan tere hi liye kya huur hai
hashr ke din kya kahenge ye agar aaya ḳhayal
shikva karna yaar ka pas-e-vafa se duur hai
kuchh ‘hafiz’ aisa nahin jis se ki tum vaqif na ho
aadmi vo to bahut maruf hai mash.hur hai
Leave a Reply