ye vaqt raushni ka mukhtasar hai
abhi suraj tulu-e-muntazar hai
shahadat lafz ki dushvar-tar hai
kitabon men bahut zer-o-zabar hai
abhi khulne ko hai dar asman ka
abhi iz.har ka pyasa bashar hai
ye duniya ek lamhe ka tamasha
na jaane dusra lamha kidhar hai
jo dekha hai vo sab kuchh hai hamara
jo an-dekha hai vo ummid bhar hai
main khud khashak-e-girvida huun varna
mire hathon men tinka shaah par hai
phir is ke baad bas hairaniyan hain
khabar vaala bhi khasa be-khabar hai
mira naara hai jangal aag jaisa
mira kalma shikasta bal-o-par hai
zaban meri siyasat chatti hai
ki is ka zaiqa shir-o-shakar hai
ye andhi pyaas ka mausam hai ‘ahmad’
samundar raushni ka be-asar hai
Leave a Reply