badan ke jharoke men jitni nigahen lagi hain
miri hain
koi aur kab sochta hai
ki gham-khana-e-‘mir’ ke us taraf
ek hansta mahakta baghicha bhi hai
kitni an-chhui kaliyan
javan titliyan
ras-bhari jhumti daliyan
sondhi mitti ki ham-jins khushbu
labalab si ik baoli
jaane kya kuchh
magar vo jharoka
ki jis ka mire dil se ik vasta hai
abhi band hai
kaam nazuk hai afaq ki kar-gah ka
Leave a Reply