us ki hasti qaza ki qaid men hai
jo parinda hava ki qaid men hai
is se behtar hai yaar mar ja.un
mera jiina ḳhuda ki qaid men hai
shab se ḳha.if hai niind ki titli
ḳhvab dast-e-hina ki qaid men hai
dil miri aankh men dhaḌakta hai
aankh teri ada ki qaid men hai
sab qabile hain ḳhuun ke pyase
saari basti ana ki qaid men hai
chhoḌ kar phir se lauT aata hai
tu miri kis dua ki qaid men hai
vo ziya ko bhi phunk sakta hai
jo andhera ziya ki qaid men hai
vo hai azad har havale se
jo bashar karbala ki qaid men hai
main javani men ho gaya buḌha
ibtida intiha ki qaid men hai
tum shifa DhunDte ho duniya men
aur vo ḳhak-e-shifa ki qaid men hai
jaan ‘rahib’ sama.aton ka hujum
tiri andhi sada ki qaid men hai
Leave a Reply