ja nahin sakti jidhar jaane ko ji chahta hai
in dinon yuun hai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar men rahti huun to bahar ki hava khinchti hai
ghar se jab niklun to ghar jaane ko ji chahta hai
main ne kab bandh ke rakha hai tumhen pallu se
tum chale jaao agar jaane ko ji chahta hai
ahd to tha ki na toḌungi main hadd-e-fasil
aaj va.ade se mukar jaane ko ji chahta hai
teri ankhon men to rahte hue ik umr hui
ab tire dil men utar jaane ko ji chahta hai
muddaton baad tira qurb mila hai mujh ko
aaj har had se guzar jaane ko ji chahta hai
barq-raftar guzarti huun vahin se ‘raḳhshan’
jis jagah mera Thahar jaane ko ji chahta hai
Leave a Reply