us ke har rang se kyuun sho.ala-zani hoti hai
un ki tasvir to kaghaz ki bani hoti hai
aql o maz.hab ki jab aapas men Thani hoti hai
phir to har rah-bari rahzani hoti hai
yaad aati hai jab un ki nigah-e-naz mujhe
ek barchhi mire siine pe tani hoti hai
kis tarah duur hon alam-e-gharib-ul-vatani
zindagi ḳhud bhi gharib-ul-vatani hoti hai
phal use aa.e na aa.e ye muqaddar ki hai baat
chhanv to naḳhl-e-tamanna ki ghani hoti hai
shikve tauqir-e-mohabbat bhi hua karte hain
magar us vaqt jab aapas men bani hoti hai
main bhi piita huun mujhe is se kuchh inkar nahin
vo magar daman-e-taqva men chhani hoti hai
zabt-e-girya se kahin chaak na ho jaa.e jigar
buund aansu ki bhi hiire ki kani hoti hai
ik tumhari hi nazakat hai jo hai tum pe giran
varna har phuul men nazuk-badani hoti hai
is qadar ghair hai kyuun haal tumhara ai ‘josh’
kabhi dil par to kabhi dam pe bani hoti hai
Leave a Reply