chashm-e-zahir-bin ko har ik pesh-manzar ashna
mil nahin sakta tujhe ab mujh se behtar ashna
zarf tera mujh pe raushan ho gaya hai is tarah
jis tarah qatre se hota hai samundar ashna
tutna taqdir us ki todna us ka khamir
ghair mumkin hai na ho shishe se patthar ashna
har tarah ke phuul hain dil ki zamin par dekhiye
kis tarah kah duun nahin siine se khanjar ashna
main ne chattanon pe gul-bute tarashe hain bahut
aap ki nazren bhi hotin kaash manzar-ashna
janta huun kaun kya hai aap kyuun den mashvara
main luteron se bhi vaqif aur rahbar-ashna
Leave a Reply